رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 17° Saaf 22° / 11°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Russi afwaj ke Ukraine ki difai sanat aur tawanai tansibat par bare hamle

Russi afwaj ke Ukraine ki difai sanat aur tawanai tansibat par bare hamle

Russi wizarat-e-difa ke mutabiq Russi afwaj ne zameen, samandar aur faza se daghe jane wale aala dastagi ke hamil hathiyaron aur baghair pilot fazai gariyon ki madad se Ukraine ke mukhtalif ahdaf par bare pemane par mushtarka hamla kiya.

Wizarat-e-difa ne kaha ke hamlon mein Ukraine ki dhat sazi aur radio electronics ki sanaton ke idaron, fauji sanati complex aur tawanai o naql o hamal ke bunyadi dhanche ki tansibat ko nishana banaya gaya.

Russi wizarat-e-difa ke mutabiq Kyiv, Zaporizhzhia aur Odesa ke ilake mein waqe tansibat in hamlon ka hadaf thin.

Wizarat-e-difa ne mazeed bataya ke Ukraini fauj ke mufadat ke liye istemal kiye jane wale bahri jahazon ko bhi hamlon mein nishana banaya gaya.

Mauzuaat: