رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 22° Saaf 22° / 9°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:13Maghrib 17:50Isha 19:11
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Pak Saudi dosti ke lazawal rishte ko kharaj-e-tehseen, ISPR ka khusoosi naghma jari

Pak Saudi dosti ke lazawal rishte ko kharaj-e-tehseen, ISPR ka khusoosi naghma jari

Khoobsurat dhun par mabni naghma Urdu aur Arabi donon zubanon mein pesh kiya gaya hai, jis ke zariye donon mumalik ki dosti, bahami ehtaram aur mushtarka aqdar ka paigham diya gaya hai.

Naghme mein Pak Saudi dosti, mushtarka difai muahide aur baradarana taluqat ko numayan karte hue donon mumalik ke darmiyan mazboot rawabit ki akkasi ki gayi hai.

Ek dooje ke dil o jaan ki dhun aur bolon mein Pak Saudi dosti ke sath aman ke azm aur mushtarka aqdar ko bhi ujagar kiya gaya hai.

ISPR ka naya naghma Pak sarzameen se arz-e-haram tak qaim mazboot aur derina baradarana rishte ki tarjumani karta hai.