Iraq ka Iran ke sath 3 sarhadi guzargahon par aamad-o-raft bahal karne ka elan

Khabar agency ke mutabiq Iraqi hukkam ne bataya ke Iran se mulhaq Al-Shaib sarhadi guzargah aaj musafiron ke liye dobara khol di jayegi, jabke Basra ki Shalamcheh sarhadi guzargah par bhi musafiron ki aamad-o-raft bahal hogi.
Iraqi hukkam ke mutabiq Shalamcheh sarhadi guzargah par tijarati sargarmiyan bhi rawan hafte ke ikhtitam par dobara shuru kar di jayengi.
Wazeh rahe ke Saudi pipeline par drone hamle ke baad Iraq ne Iran ke sath baaz sarhadi guzargahon ko arzi taur par band kar diya tha.
Mauzuaat:Iran











