Canada ke subah Alberta mein fauji adde par atishzadgi, 4 fauji halak, 39 zakhmi

Ottawa: Canada ke subay Alberta mein fauji adde par atishzadgi ke nateeje mein 4 fauji halak aur 39 afraad zakhmi ho gaye.
Hukkam ke mutabiq zakhmiyon mein se 19 afraad ki halat tashweshnak hai.
Fauji adde ki jhariyon mein lagne wali aag tez hawaon ke baais phail kar tarbiyati ilaqay tak pahunch gayi thi.
Canadian hukkam ke mutabiq waqay ki wajuhat jaanne ke liye tehqiqat jaari hain, taham atishzadgi ka talluq kisi dehshatgard karwai se nahin hai.
Canadian wazir-e-azam Mark Carney ne waqay ko musallah afwaj ki tareekh mein pur-amn halat ke dauran badtareen saniha mein se ek qarar diya.
Mauzuaat:Mutafarriq











