America ne Iran ke sath kisi muahide tak pahunchne ki yaqeen dahani karayi hai: Qatar

Qatari wizarat-e-kharija ke tarjuman Majid Al Ansari ke mutabiq Qatar ki salasi team Tehran aur Washington ke sath rabte mein hai aur muzakrat ki bahali ke imkanat ka jaiza le rahi hai.
Un ka kehna tha ke salis mukhtalif daral-hukumaton ke darmiyan safar kar rahe hain taake is mamle mein pesh raft ho sake.
Majid Al Ansari ne bataya ke Qatar ko American administration ke hukkam ki janib se yeh yaqeen dahaniyan bhi mili hain ke Washington kisi muahide tak pahunchna chahta hai.
Qatari tarjuman ke mutabiq khitte mein istehkam ke liye ilaqai hal aur aisa International ittefaq zaroori hai jo Strait of Hormuz samet aham abi guzargahon ke tahaffuz ko yaqeeni banaye.
Un ka kehna tha ke kisi aik riyasat ki janib se abi guzargah par apni baladasti qaim kar ke ise bator hathiyar istemal karna sab ke liye khatarnak misal ban sakta hai.











