رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 20° Saaf 22° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

WhatsApp mein kam umar sarifeen ke liye walidain ko mazeed control dene wale naye tools mutaarif

WhatsApp mein kam umar sarifeen ke liye walidain ko mazeed control dene wale naye tools mutaarif

Naye tools ke zariye walidain apne bachon ke accounts se mutaliq baaz sargarmiyon par nazar rakhne ke liye izafi options istemal kar sakein ge. Misal ke taur par agar bacha kisi WhatsApp group mein shamil hota hai ya kisi group se nikalta hai to walidain ko is hawale se notification mausool hoga.

Company ke mutabiq walidain bachon ke accounts se mutaliq data ki baaz tarjihaat ko bhi control kar sakein ge. Walidain kuch khudkar settings ko bhi control kar sakein ge. Pin code ke zariye yeh yaqeeni banane ka option bhi hoga ke bache walidain ki muqarrar kardah settings ko khud tabdeel na kar sakein.

Walidain yeh faisla bhi kar sakein ge ke un ke bache WhatsApp ke channels istemal kar sakte hain ya nahin. Is ke alawa Meta AI mein bachon ke liye dastiyab settings ko bhi walidain apni tarjihaat ke mutabiq tarteeb de sakein ge.

Company ne yeh bhi wazeh kiya hai ke in naye hifazati iqdamat ka matlab bachon ki nijji guftagu tak walidain ki rasai nahin hai. WhatsApp ke mutabiq walidain ko apne bachon ki janib se bheje ya mausool kiye jane wale paighamat parhne ki sahulat nahin di jaye gi. Bachon ki chats aur calls badastoor nijji rahein gi aur unhein end-to-end encryption ka tahaffuz hasil hoga.

Mauzuaat: