رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 15° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Japan Mars ke chaand Phobos se namoone laane ka mission rawana karne ko tayyar

Japan Mars ke chaand Phobos se namoone laane ka mission rawana karne ko tayyar
File photo: Mareekh ka chand Phobos — Tasveer: Bashukriya Wikipedia

Tokyo: Japani khalai idara aik tareekhi mission ke zariye Mars ke aik chaand ke baare mein mazeed maloomat hasil karne ka khwahan hai.

Ghair mulki media reports ke mutabiq Japan mubayyina tor par duniya ka pehla aisa khalai mission rawana karne ki mansooba bandi kar raha hai jis ke zariye Mars ke 2 chhote chaand mein se aik Phobos se namoone zameen par wapas laye jayenge.

Is mission ko mukammal hone mein taqreeban 5 saal lagne ki tawaqqo hai. Is se scientists ko yeh jaanne mein madad milegi ke Phobos aur uska nisbatan chhota saathi Deimos kaise wujood mein aaye, jabke nizam-e-shamsi mein zindagi ki ibteda ke baare mein bhi aham maloomat milne ki umeed hai.

Bartanvi akhbar ke mutabiq Japan ka khalai tehqeeq ka idara JAXA mangal ko apne naye H3 rocket ke zariye khalai jahaz rawana karne ka irada rakhta hai, jo 2031 mein zameen par wapas pohnchega.

Mission ka maqsad

Mars ke donon chaand ki khoj ke mission MMX ke project manager Yasuhiro Kawakatsu ne kaha ke Phobos se hasil hone wale namoone scientists ko yeh jaiza lene mein madad denge ke aaya mustaqbil mein insanon ko Mars par bhejne ke liye uske kisi chaand ko adde ke tor par istemal kiya ja sakta hai.

Un ka kehna hai ke apni mumkina ahmiyat ke bawajood Mars ke chaand ka ab tak mukammal tor par mutalia nahin kiya ja saka. Japan is International mission ki qiyadat kar raha hai, jis ke liye amriki khalai idare NASA aur deegar mumalik ke khalai idare aalaat aur muwasalati muaawanat faraham kar rahe hain.

1960 ki dahai se Mars ki janib darjanon khalai mission rawana kiye ja chuke hain, taham uske chaand ab bhi badi had tak raaz bane hue hain. Russia ki janib se Phobos par khalai jahaz utarne ki mutaddid koshishein nakam ho chuki hain, jin mein 2011 mein rawana kiya gaya mission bhi shamil hai.

Mauzuaat: