Usta Muhammad: Deputy Commissioner Muhammad Ramzan Pallal ki Khanpur mein Khuli Kachehri, Sailab mutasireen ke funds ki muntaqili ki tardeed

Usta Muhammad: Chief Minister Balochistan Mir Sarfraz Bugti aur Chief Secretary Balochistan ki hidayat ki roshni mein awami masail un ki dehleez par sunne ke liye Deputy Commissioner Usta Muhammad Muhammad Ramzan Pallal ki zer-e-sadarat Goth Ghulam Nabi Khan Jamali Khanpur mein Khuli Kachehri munaqid hui.
Khuli Kachehri mein Additional Deputy Commissioner Muhammad Ismail Lashari, Assistant Commissioner Usta Muhammad Muhammad Ramzan Ishtiaq, District Health Officer Dr Amir Ali samet tamam zilai afsaran, siyasi o samaji shakhsiyat, zamindaron, umaidin, tajiron aur shehriyon ne bari tadad mein shirkat ki.
Awam ke masail aur mutalebat
Shehriyon ne bijli ki taweel load shedding, saaf pani ki faraahmi, gas ki kami, hospitalon mein adwiyat aur tibbi sahuliyat ki adam dastiyabi, buniyadi marakiz-e-Sehat mein behtri, sarkari schoolon mein asatiza aur zaroori saman ki kami, filtration plant ki tansib, machhar maar spray aur ghair miyari khaad o beejon ki farokht samet masail ki nishandehi ki. Makinon ne Khanpur pul se Usta Muhammad roadba-rasta Khanpur distri ki tameer o behtri, Khanpur pul se Degree College Usta Muhammad tak talba o talibat ke liye school bus aur safari o mawasalati sahuliyat behtar banane ke mutalebat bhi kiye.
Zamindaron ne zarai masail, ghair miyari khaad o beejon ki farokht aur paidawar barhane ke liye Agriculture Department ki moassir rabita kari par zor diya, jabke awam ne mehkama junglat se zyada se zyada Shajarkari ka mutalba kiya taake garmi ki shiddat kam ho. Sailab mutasireen ke gharon ki tameer ke funds mubayyina taur par kisi dusre suba muntaqil hone ki shikayat bhi pesh ki gayin, jis par Deputy Commissioner ne yaqeen dehani karai ke Sailab mutasireen ke gharon ke paise kisi aur suba muntaqil nahin hue.
Deputy Commissioner Muhammad Ramzan Pallal ne kaha ke door daraz ilaqon mein Khuli Kachehrion ka maqsad yahi hai ke tamam zilai sarbarahan awam ke samne mojood hon aur masail barah-e-raast sun kar mauqe par hal kiye jayen. Mutaddid masail par mauqe par hi afsaran ko hidayat jari kar di gayi hain; zilai daira-e-ikhtiyar ke masail fori hal honge jabke is se bahar ke masail tehriri taur par aala hukkam ke notice mein laye jayenge. Unhon ne afsaran ko hidayat ki ke awami masail ko rasmi karwai tak mehdood na rakha jaye balke amli pesh raft yaqeeni banai jaye.



Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











