Quetta mein VIP hangar ke liye arazi ki jaanch partaal, ADC Revenue Hafiz Muhammad Tariq ki zer-e-sadarat ijlas

Quetta: Additional Deputy Commissioner (Revenue) Quetta Hafiz Muhammad Tariq ki zer-e-sadarat VIP hangar ke qayam, mutalliqa arazi ki jaanch partaal aur deegar umoor par aham ijlas mun’aqid hua.
Ijlas mein VIP hangar ke liye makhsoos zameen ke record, milkiyat aur deegar umoor ka jaiza liya gaya aur revenue afsaran o ahalkaron se arazi ki jaanch partaal aur record ki tasdeeq par briefing li gayi.
Hafiz Muhammad Tariq ne hidayat ki ke arazi ke record ki mukammal jaanch partaal ki jaye aur tamam qanooni o intezami taqazon ko madde nazar rakhte hue zaroori iqdamat yaqeeni banaye jayen.
Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan
Mauzuaat:Quetta











