Qaiser Ahmed Sheikh ki Natalie Baker se mulaqat, Pak-America iqtisadi o tijarati taawun barhane par zor

Qaiser Ahmed Sheikh ne Pakistan America talluqat ke farogh mein Natalie Baker ki safarati khidmat ko khiraj-e-tehseen pesh kiya aur un ke ezaz mein purtakalluf ashaiya mun’aqid karne ka elan kiya.
Wafaqi wazir ne sarmayakari, tijarat aur karobari rawabit ke farogh ke liye Pakistan aur America ke darmiyan taawun mazeed barhane par zor diya. Unhon ne kaha ke Pakistan tamam shobon mein ghair mulki sarmayakari ka khairmaqdam karta hai.
Mulaqat mein maadniyat, tawanai, zaraat, IT aur Sehat ke shobon mein American sarmayakari ke mawaqe par bhi guftagu hui.
Qaiser Ahmed Sheikh ne bataya ke karobari mahol mein behtari aur sarmayakari ke farogh ke liye 550 se zaid islahat ki gayi hain, jabke business facilitation center ke zariye sarmayakaron ko one window sahulat faraham ki ja rahi hai.
Wafaqi wazir ke mutabiq Islamabad business facilitation center ne pehle saal 6.6 arab rupay se zaid ki sarmayakari mein sahulat faraham ki, jabke is ke zariye 20 hazar se zaid rozgar ke mawaqe paida karne mein bhi muaawanat ki gayi.
Qaiser Ahmed Sheikh ne Pakistan America ke karobari rawabit mazeed mazboot banane aur dono mumalik ke nijji shobon ke darmiyan taawun barhane par bhi zor diya.
Mulaqat ke dauran bataya gaya ke World Economic Forum ki Sustainable Development Impact Meetings 2026 mein wafaqi wazir Qaiser Ahmed Sheikh ko shirkat ki dawat di gayi hai.
Wafaqi wazir ne kaha ke Board of Investment sarmayakaron ko sahulat faraham karne aur Karobar mein asani paida karne ke liye iqdamat kar raha hai











