Maulana Hidayat ur Rehman Baloch ka Tehsildar Office Gwadar ka daura, revenue masail ke barwaqt aur shaffaf hal ki hidayat

Gwadar: Rukn Soobai Assembly Maulana Hidayat ur Rehman Baloch ne Tehsildar Office Gwadar ka daura kiya aur Tehsildar Munir Ahmed Baledi se mulaqat ki, jis mein revenue umoor, awami masail aur intizami muamilat par tabadla-e-khayal kiya gaya.
Maulana Hidayat ur Rehman Baloch ne revenue se mutaliq awami masail ke barwaqt aur shaffaf hal, jaiz darkhwaston par fori karrawai aur shehriyon ko sarkari umoor mein har mumkin sahulat faraham karne par zor diya.
Un ka kehna tha ke revenue khidmat ki faraham mein ghair zaroori takheer se gurez karte hue merit, shaffafiyat aur qanoon ke mutabiq umoor nimtaye jayen taake shehriyon ko relief mile aur sarkari nizam par awam ka aitemad mazeed mazboot ho.
Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan
Mauzuaat:Gwadar











