رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 11° Saaf 22° / 11°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:13Maghrib 17:50Isha 19:11
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Maulana Hidayat-ur-Rehman Baloch ka C&W building Gwadar ka daura, taraqqiati mansubon par briefing

Maulana Hidayat-ur-Rehman Baloch ka C&W building Gwadar ka daura, taraqqiati mansubon par briefing
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Gwadar: Rukn-e-sooba-i assembly Maulana Hidayat-ur-Rehman Baloch ne Communication and Works Department building Gwadar ke daftar ka daura kiya, jahan XEN building Saeed Muhammad ne unhein jari aur mukammal hone wale mukhtalif taraqqiati o tameeraati mansubon par tafseeli briefing di.

Briefing mein mahkamay ke zer-e-nigrani jari aur mukammal shuda sarkari imaraton samet mukhtalif mansubon ki mojooda soorat-e-haal aur tameeraati pesh raft se aagah kiya gaya. Is mauqe par Gwadar mein jari tameeraati mansubon, awami zaruriyat aur deegar aham umoor ka bhi jaiza liya gaya.

Maulana Hidayat-ur-Rehman Baloch ne mansubon ki barwaqt takmeel, tameeraati miyar yaqeeni banane aur awami mufad ko awwaleen tarjeeh dene par zor diya.

Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Mauzuaat: