Governor Balochistan Jaffar Khan Mandokhel ko Pak-Iran Joint Chamber of Commerce ki jaanib se Gold Medal pesh

Quetta: Pak-Iran Joint Chamber of Commerce and Industry ke 11ven ijlas ke dauran Governor Balochistan Jaffar Khan Mandokhel ko soobe bhar ke tajiron, sanatkaron aur karobari biradari ki bharpoor numainday ke aitraf mein Gold Medal pesh kiya gaya.
Ijlas ke shurka ne is amr par ittefaq kiya ke Governor Jaffar Khan Mandokhel khud bhi khandani taur par karobari pas-manzar rakhte hain aur tajir biradari ke masail o mushkilat se bakhoobi agah hain. Shurka ke mutabiq unhon ne Balochistan mein maashi sargarmiyon ke farogh, karobari mawaqe mein izafay, rozgar ke naye mawaqe paida karne aur tajir o sanatkar biradari ke masail ko mutaliqa aur zimmedar forums par bharpoor andaz mein ujagar karne ke liye faal kirdar ada kiya hai. Ijlas mein is azm ka aadah kiya gaya ke Balochistan mein maashi sargarmiyon ke farogh, tijarat o sanat ki taraqqi aur karobari biradari ke liye naye mawaqe paida karne ki khatir mushtarka koshishein jari rakhi jayengi.
Governor Mandokhel ne Gold Medal ke liye muntakhab karne par Pak-Iran Joint Chamber of Commerce and Industry ke ohdedaran ka shukriya ada karte hue kaha ke hum Balochistan aur bil-khusus Quetta ko tijarat aur maashi sargarmiyon ka aham markaz banayenge, aur is maqsad ko amli jama pehnane ke liye tamam mutaliqa aur baikhtiyar idaron aur hukkam ko apne apne daira kar mein bharpoor kirdar ada karna hoga.
Tasveer: bashukriya DGPR Balochistan











