Chief Minister Sarfraz Bugti ki Senator Naseebullah Bazai aur Haji Abdul Wahid ke inteqal par taziyat o fatiha khwani

Quetta: Chief Minister Balochistan Mir Sarfraz Bugti Peer ke roz Senator Naseebullah Bazai ke ghar gaye aur un ke inteqal par lawahiqeen se taziyat aur fatiha khwani ki. Chief Minister ne marhoom ki maghfirat, darjat ki bulandi aur sogwar khandan ke liye sabr-e-jameel ki dua ki.
Chief Minister Mir Sarfraz Bugti Muhammad Hashim ke ghar bhi gaye aur un ke walid Haji Abdul Wahid ke inteqal par ahl-e-khana se taziyat aur fatiha khwani ki. Unhon ne marhoom ki maghfirat aur lawahiqeen ke liye sabr o istiqamat ki dua ki.
Is mauqe par provincial ministers, parliamentary secretaries aur arakeen provincial assembly bhi Chief Minister Balochistan ke hamrah the.



Tasweer: Bashukriya DGPR Balochistan











