رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 15° Saaf 22° / 9°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:13Maghrib 17:50Isha 19:11
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Balochistan Assembly mein baldiyati ikhtiyarat nichli satah tak muntaqil karne ki qarardad manzoor

Balochistan Assembly mein baldiyati ikhtiyarat nichli satah tak muntaqil karne ki qarardad manzoor
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Quetta: Speaker Balochistan Assembly Abdul Khaliq Achakzai ki zair-e-sadarat assembly ka ijlas 25 minute ki takheer se shuru hua. Arakin ne soobe mein aman o aman, Mir Qambar Mengal ke ghar par hamle, taleemi idaron ki imaraton ki jaanch partaal, Asma Jatak case, baldiyati nizam, zer-e-zameen pani ki girti hui satah aur Quetta mein pani ki qillat samet mukhtalif masail par izhar-e-khayal kiya.

Ijlas mein baldiyati nizam aur ikhtiyarat ki nichli satah tak muntaqili se mutaaliq qarardad manzoor kar li gayi. Zila Pishin mein zer-e-zameen pani ki satah mein musalsal kami aur baghat ko pahunchne wale nuqsan par bhi tashweesh ka izhar kiya gaya.

Mir Qambar Mengal ke ghar par hamla

Rukn-e-assembly Mir Jahanzaib Mengal ne hamle ki muzammat karte hue kaha ke hamla awaron ka Balochiyat se koi taluq nahin aur wazir-e-aala Balochistan is waqiye ka notice lein.

Wazir-e-aala Mir Sarfraz Bugti ne bhi hamle ki shadeed alfaz mein muzammat karte hue kaha ke yeh Balochiyat nahin balkeh Dehshatgardi hai aur dehshatgardon ka Baloch riwayat se koi taluq nahin. Un ka kehna tha ke Balochon ko ek lahasil jang ki taraf dhakela ja raha hai.

Taleemi idaron ka audit

Wazir-e-aala ne hidayat ki ke soobe ke tamam sarkari aur nijji schoolon ki imaraton ka jaiza liya jaye aur taleemi idaron ka audit karaya jaye. Unhon ne Asma Jatak case ke hawale se mutasira khandan se rabte mein hone ka bhi bataya.

Sabiq wazir-e-aala Balochistan Dr Malik Baloch ne Peshawar mein school ki chhat girne ke waqiye ke baad Balochistan ke sarkari aur nijji taleemi idaron ki imaraton ka jaiza lene par zor diya, jabke Sardar Abdul Rehman Khetran ne waqiye par Khyber Pakhtunkhwa hukumat ki zimmedari ka taayyun karne ka mutalba kiya.

Baldiyati nizam ki qarardad

Rukn-e-assembly Maulana Hidayat ur Rehman ne mehkama S&GAD ke hawale se tawajjo dilao notice pesh karte hue sarkari daftaron mein arakin-e-assembly aur awam ko darpesh mushkilat ki nishandehi ki. Unhon ne kaha ke Gwadar mein ek primary school ko middle ka darja dilwane mein bhi taweel waqt lag jata hai.

Unhon ne baldiyati nizam ko mazboot banane aur ikhtiyarat nichli satah tak muntaqil karne se mutaaliq qarardad bhi pesh ki, jis mein baldiyati idaron ko maali o intizami khudmukhtari dene, funds ki barwaqt faraahmi aur baldiyati numainadon ki istedad-e-kaar barhane ke iqdamat par zor diya gaya. Aiwan ne qarardad manzoor kar li.

Pishin mein pani ki kami

Zila Pishin mein zer-e-zameen pani ki satah musalsal girne se mutaaliq qarardad opposition rukn-e-assembly Syed Zafar Agha ne pesh ki. Unhon ne kaha ke pani ki kami ke baais anar, seb, angoor aur deegar phalon ke baghat shadeed mutasir ho rahe hain, jis se maqami zamindaron ko karoron rupay ka nuqsan pahunch raha hai. Unhon ne damon ki marammat o safai aur naye damon ki tameer ka mutalba kiya.

Soobai wazir Mir Sadiq Umrani ne kaha ke zer-e-zameen pani ki satah barqarar rakhne ke liye iqdamat ki zaroorat hai, taham damon ki tameer ke liye wafaqi hukumat funds faraham nahin kar rahi.

Soobai wazir Zahoor Buledi ne kaha ke Balochistan mein pani ki surat-e-haal tashweeshnak hoti ja rahi hai aur solar nizam ke zariye zer-e-zameen pani ke bedareegh istemal ne masle ko mazeed sangeen bana diya hai. Unhon ne khabardar kiya ke pani ke istemal ko control na kiya gaya to aane wali naslon ke liye bhi mushkilat paida hongi.

Deegar arakin ka izhar-e-khayal

Mushir Khel Meena Majeed ne Mand aur Tump mein Dehshatgardi ke waqiyat ki muzammat karte hue kaha ke dehshatgard ghareeb awam ki gaadiyan jala rahe hain aur un ka Balochiyat se koi taluq nahin.

Soobai wazir Mir Ali Madad Jatak ne Asma Jatak case ka zikr karte hue kaha ke soobe ke mazloom awam ke sath khade rehna aur zulm ke khilaf awaz buland karna zaroori hai. Unhon ne mubayyina nijji jailon aur baaasar afraad ke zulm ke ilzamat par bhi tashweesh ka izhar kiya.

Rukn-e-assembly Zarak Khan Mandokhel ne Quetta mein pani ki qillat aur tanker mafia ki jaanib se awam ko mubayyina taur par lootne ka muamla uthate hue kaha ke awam ko pani samet bunyadi sahuliyat faraham karna hukumat ki zimmedari hai. Un ka kehna tha ke agar awam ko bunyadi sahuliyat faraham nahin ki ja saktin to muntakhib numainadon ke liye awam ke samne jana mushkil ho jayega.

Rukn-e-assembly Ashok Kumar ne MPA hostel ka achanak daura karne ka mutalba karte hue hostel mein non custom paid gaadiyon ki maujoodgi ki nishandehi bhi ki.

Ijlas mein arakin-e-assembly ne mukhtalif awami masail ki nishandehi karte hue hukumat par zor diya ke aman o aman, taleem, sehat, pani ki faraahmi aur maqami hukumaton ko baaikhtiyar banane ke liye mouassar iqdamat kiye jayen.