Abnaye Hormuz mein barudi surang se takra kar tel bardar jahaz mein aag lag gayi, Irani daava

Tehran: Iran ki fauj ne daava kiya hai ke Abnaye Hormuz se guzarne ki koshish ke dauran ek tel bardar jahaz samandari barudi surangon se takra gaya, jis ke nateeje mein jahaz ko nuqsan pahuncha aur is mein aag lag gayi.
Irani media ke mutabiq Pasdaran-e-Inqilab ne bataya ke jahaz ne apni nigrani ka nizam band kar rakha tha aur Iran ki janib se mamnoo qarar diye gaye khatarnak ilaqe se guzarne ki koshish kar raha tha.
Irani fauj ke mutabiq yeh waqia Abnaye Hormuz ke mashriqi hisse mein pesh aaya, taham jahaz ka naam, is ke jhande, amle ki tadad aur mumkina jani nuqsan se mutaalliq tafseelat nahin batayi gayin.
Mauzuaat:Iran











