CENTCOM: Strait of Hormuz se American afwaj ke inkhila ka Irani daawa ghalat qarar

Washington: American Central Command (CENTCOM) ne Pasdaran-e-Inqilab ki bahria ke commander ki jaanib se Strait of Hormuz se American afwaj ke inkhila ke daawe ko ghalat qarar de diya.
CENTCOM ne samaji rabte ki website X par jari bayan mein kaha ke American afwaj Strait of Hormuz aur is ke gard-o-nawah mein mojood aur chaukas hain.
Bayan ke mutabiq Strait of Hormuz mein International behri aamad-o-raft American afwaj ke control mein hai, jabke American fauj aur ilaqai shirakat dar bhi is aham aabi guzargah mein mojood hain.











