Power sector ka gardishi qarza 2400 arab se kam ho kar 1680 arab rupay reh gaya: Awais Leghari

Islamabad: Wafaqi wazir tawanai Awais Leghari ne kaha hai ke power sector ka gardishi qarza 2400 arab rupay se kam ho kar 1680 arab rupay reh gaya hai, jabke Punjab ki tamam bijli taqseem kar companiyon mein billon ki wusooli 100 feesad ho gayi hai.
National University of Sciences and Technology (NUST) mein National Energy Summit 2026 se khitab karte hue unhon ne kaha ke power sector mein peshawarana boards tashkeel de kar aqraba parwari ke khatme ke liye iqdamat kiye gaye hain, shobe mein digitalization aur behtar tarz-e-hukmrani ke liye bhi kaam jari hai.
Wafaqi wazir ne kaha ke wizarat-e-tawanai mein takneeki salahiyat aur policy sazi ke nizam ko idarajati shakl di gayi hai, sanati bijli ke nirkhon mein numayan kami ki gayi hai aur sanaton par cross subsidy ka bojh khatam kar diya gaya hai.
Unhon ne kaha ke tawanai ke shobe mein gardishi qarze ko kam karne ke liye iqdamat kiye gaye hain, jis ke nateejay mein power sector ka gardishi qarza 2400 arab rupay se kam ho kar 1680 arab rupay reh gaya hai.










