Humayun Saeed: Namaz ki pabandi se zehni sukoon aur itminan hasil hua

Karachi: Pakistani Showbiz industry ke namwar adakar aur kamyab film saz Humayun Saeed ne inkishaf kiya hai ke baqaidagi se namaz ada karne ki aadat ne un ki zindagi mein musbat tabdeeli aur zehni sukoon diya hai.
Humayun Saeed ka shumar Pakistan ke saf-e-awwal ke adakaron mein hota hai. Woh guzishta 3 dahaiyon se drama aur film industry se wabasta hain aur adakari ke sath bataur producer bhi numayan kamyabiyan hasil kar chuke hain.
Haal hi mein ek interview ke dauran adakar ne apne career, zindagi ke safar aur waqt ke sath aane wali roohani tabdeeliyon par guftagu ki. Unhon ne zindagi mein aane wali ek aham musbat tabdeeli ka zikr bhi kiya, jis se un ki andruni kaifiyat aur soch mein numayan farq aaya hai.
Humayun Saeed ne bataya ke guzishta chand barson ke dauran woh bhi deegar peshawar afraad ki tarah kaam mein aage barhne aur kamyabi hasil karne ki daud mein shamil rahe. Taham ab unhon ne baqaidagi se namaz ada karna shuru kar di hai, jis ke baad unhein ghair-maamooli zehni sukoon hasil hua hai.
Adakar ke mutabiq ab unhein kisi mamle mein pehle jaisi bechaini ya doosron se aage nikalne ki khwahish nahin hoti. Woh apni maujooda zindagi se mutmain hain aur apne halaat ko khush-dili se qubool karte hain.
Un ka kehna hai ke namaz ki pabandi ne zindagi ko zyada sukoon aur itminan ke sath guzarne mein madad di hai.











