Under 19 Asia Cup ke liye qaumi squad ka elaan, Farhan Yousuf captain muqarrar

Lahore: Pakistan Cricket Board ne ACC Men’s Under 19 Asia Cup ke liye qaumi squad ka elaan kar diya. Title ka difa karne wali Pakistan Under 19 team ki qiyadat Farhan Yousuf karenge.
Squad mein Usman Khan, Hayyam Khan, Jahangir Bilal, Huzaifa Ahsan, Abdul Qadir, Hamza Zahoor, Ahmed Hussain, Hussnain Abbas Dar, Muhammad Huzaifa aur Naqab Shafiq shamil hain. Ali Raza, Abdul Subhan, Muhammad Sayyam aur Rizwanullah bhi qaumi Under 19 squad ka hissa honge.
ACC Men’s Under 19 Asia Cup Oman mein khela jaye ga. Pakistan ko Group A mein shamil kiya gaya hai, jahan qaumi team Muttahida Arab Emirates, Bharat aur Nepal ke khilaf maidan mein utare gi.











