Wudh ke Haji Mir Naik Muhammad Residential Public School mein Youm-e-Difa ki taqreeb, Haji Mumtaz Mengal mehman-e-khusoosi

Wudh: Youm-e-Difa-e-Pakistan ke moqe par Haji Mir Naik Muhammad Residential Public School Wudh mein purwaqar taqreeb munaqid hui jis ke mehman-e-khusoosi Haji Mumtaz Mengal the. Taqreeb mein Mir Abdul Sattar Shahizai, Mir Salman Karim Raisani, Mir Imran Nohkzai, Haji Mir Muhammad Gazgi, Mir Ibrahim Mengal, Haji Noor Baranzai, Pasand Khan Mengal, Ahmad Jan Rakhshani, Mir Baloch Khan samet ilaqai mo’atabireen aur asatiza ne shirkat ki.
Taqreeb ka aghaz tilawat-e-kalam-e-pak aur naat se hua. Talba ne milli naghme aur taqareer pesh karte hue kaha ke 6 September sirf tareekhi fateh ka din nahin balke jazba-e-sarfaroshi aur watan par mar mitne ki dastan hai, jab 1965 mein dushman ne raat ki tareeki mein sarhadon ki khilaf warzi ki to Pak Army aur qaum ne seesa pilayi deewar ban kar us ke azaim khaak mein mila diye.
School ke principal ne kaha ke 6 September 1965 ka dars hai ke kamyabi wasail ki kasrat se nahin balke emaan ki pukhtagi, himmat aur nazriyati yakjehti se milti hai; chahe Chawinda mein tanko ka sab se bara maarka ho ya Major Raja Aziz Bhatti shaheed ki jurrat. Unhon ne kaha ke aaj qalam aur ilm ka daur hai aur talba hi kal ke memar hain.
Kashmir aur Palestine par izhar-e-khayal
Talba ne Urdu, Arabi aur English mein khitab karte hue Kashmiri awam par mazalim ko ujagar kiya aur alami baradari se Kashmiriyon ko haq-e-khud iradiyat dilwane ka mutalba kiya. Unhon ne Palestine aur Gaza mein Israeli jarehiyat, insani bohran aur begunah shehriyon, bachon aur khawateen par mazalim par shadeed tashweesh ka izhar kiya.
Muqarireen ne school intezamia aur asatiza, khaas tor par Mir Shafiq-ur-Rehman Mengal ki kawishon ko saraha jo bachon ki shakhsiyat sazi aur hum nisabi sargarmiyon par tawajjo de rahe hain. Aakhir mein numayan talba mein shields aur tareefi asnad taqseem ki gayin aur mulk ki salamati aur Palestine o Kashmir ki azadi ke liye dua ki gayi.
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











