رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 21° Juzvi badal 22° / 9°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:13Maghrib 17:50Isha 19:11
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Wazir-e-aala Sarfraz Bugti ka Quetta Development Package par jaiza ijlas: 12 mansoobay mukammal, 7 par kaam jaari

Wazir-e-aala Sarfraz Bugti ka Quetta Development Package par jaiza ijlas: 12 mansoobay mukammal, 7 par kaam jaari
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Quetta: Wazir-e-aala Balochistan Mir Sarfraz Bugti ki zer-e-sadarat Chief Minister Secretariat mein Quetta Development Package se mutaliq aham ijlas hua, jis mein soobai darul hukumat ki taraqqi, khoobsurati aur shehri sahuliyat ki behtari ke liye jaari mansoobon ki pesh raft ka jaiza liya gaya.

Ijlas ko bataya gaya ke Quetta Development Package ke tahat 12 mansoobay mukammal ho chuke hain, 7 mansoobon par kaam jaari hai jabke 5 naye mansoobay bhi tajweez kiye gaye hain.

Wazir-e-aala Mir Sarfraz Bugti ne jaari mansoobon par kaam ki raftar mazeed taiz karne aur un ki barwaqt takmeel har soorat yaqeeni banane ki hidayat ki, jabke naye tajweez karda mansoobon par bhi bila takheer kaam shuru karne ka hukm diya.

Quetta soobay ka chehra hai

Wazir-e-aala ne kaha ke Quetta soobay ka chehra hai aur shehr ki taraqqi o khoobsurati poore Balochistan ki shanakht se juri hui hai. Hukumat Quetta ko aik behtar, khoobsurat aur jadeed soobai darul hukumat banane ke liye tamam dastiyab wasail barooey kaar laye gi.

Unhon ne kaha ke Quetta ki maazi ki khoobsurati aur tareekhi shanakht ki bahali ke liye jaame hikmat amli ke tahat amli iqdamat kiye jayenge, jabke buniyadi shehri sahuliyat ki behtari, infrastructure ki taraqqi aur tazeen o araish ke mansoobay tarjihi buniyadon par mukammal kiye jayen.

Wazir-e-aala ne hidayat ki ke Quetta Development Package ke mansoobon mein miyar, raftar aur shaffafiyat yaqeeni banai jaye aur taraqqiyati kaamon mein ghair zaroori takheer se gurez kiya jaye. Mir Sarfraz Bugti ne azm zahir kiya ke hukumat Quetta ko aisa khoobsurat aur munazzam shehr banane ke liye purazm hai jahan shehriyon ko behtar buniyadi sahuliyat maisar hon aur soobai darul hukumat apni tareekhi o saqafati shanakht ke sath aik jadeed shehr ke taur par bhi numayan ho.

Ijlas mein Chief Secretary Balochistan Shakeel Qadir Khan, SMBR Kumbar Khan Dashti, Secretary Finance Jahangir Khan aur Project Director Rafique Baloch samet mutaliqa hukkam ne shirkat ki.

Wazir-e-aala Balochistan Mir Sarfraz Bugti ko Quetta Development Package ki pesh raft se mutaliq briefing di ja rahi hai
Wazir-e-aala Balochistan Mir Sarfraz Bugti ko Quetta Development Package ki pesh raft se mutaliq briefing di ja rahi hai
Wazir-e-aala Balochistan Mir Sarfraz Bugti Quetta Development Package ki pesh raft se mutaliq jaiza ijlas ki sadarat kar rahe hain
Wazir-e-aala Balochistan Mir Sarfraz Bugti Quetta Development Package ki pesh raft se mutaliq jaiza ijlas ki sadarat kar rahe hain

Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan