رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 10° Juzvi badal 22° / 9°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:13Maghrib 17:50Isha 19:11
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Turbat: Sehat ke ijlas mein 30 mulazimeen ki tankhwahon mein katauti, medical stores ki nigrani ka jaiza

Turbat: Zila Kech mein sehat-e-amma ki sahuliyat ki behtari, sarkari tibbi idaron ki karkardagi, mulazimeen ki hazri o intizami umoor, tankhwahon ki katauti aur medical stores ki nigrani samet mukhtalif umoor ka tafseeli jaiza liya gaya.

Ijlas mein District Health Officer Kech Dr Abdul Rauf Baloch, Deputy Medical Superintendent Dr Rashida Malik, District Accounts Officer Saddam Baloch, Drug Inspector Makuran Muhammad Akram, PPHI ke Abdul Khaliq, District Drug Inspector Turbat Waris Rafiq, DHO office ke Dr Latif Baloch samet mutaliqa mehkamon ke deegar afsaran ne shirkat ki.

Mulazimeen ki hazri aur tankhwahon mein katauti

District Health Officer Kech Dr Abdul Rauf Baloch ne mehkama Sehat ki majmooi karkardagi, intizami muamilat aur mulazimeen ki hazri se mutaliq briefing dete hue bataya ke ghair hazri aur mutaliqa intizami muamilat ke tanazur mein 30 mulazimeen ki tankhwahon mein katauti ki gayi hai.

Unhon ne mehkama Sehat mein nazm o zabt barqarar rakhne aur sarkari umoor ki mauassir injam dehi ke liye kiye jane wale iqdamat se bhi ijlas ko aagah kiya.

Deputy Medical Superintendent Dr Rashida Malik ne Civil Hospital Turbat ki karkardagi, tibbi sahuliyat ki faraahmi aur hospital ke intizami umoor ke hawale se ijlas ko briefing di. Is douran hospital mein mareezon ko behtar tibbi sahuliyat faraham karne aur intizami muamilat ko mauassir andaz mein chalane se mutaliq umoor zer-e-ghaur aaye.

Medical stores ki inspection

Drug Inspector Makuran Muhammad Akram Baloch ne medical stores ki inspection ke hawale se briefing dete hue bataya ke unhon ne District Drug Inspector Turbat Waris Rafiq ke hamrah Turbat shehar ke mukhtalif medical stores ka daura kiya.

Muayine ke douran do se teen medical stores mein safai suthrai ke naqis intizamat paye gaye, jis par mutaliqa store malikan ko show cause notice jari kiye gaye.

Ijlas mein is amr par zor diya gaya ke mehkama Sehat se mutaliqa tamam idare apni zimmedariyan mauassir andaz mein ada karein, sarkari tibbi markaz mein nazm o zabt aur safai suthrai ko yaqeeni banaya jaye aur medical stores ki baqaida nigrani ke zariye awam ko miyari adviyat ki faraahmi aur sehat ke shobe mein muqarrara zawabit par amal dar aamad ko yaqeeni banane ke liye iqdamat jari rakhe jayein.

Additional Deputy Commissioner Kech Tabish Ali Baloch ne mutaliqa afsaran par zor diya ke woh mehkama Sehat ki karkardagi ko mazeed behtar banane, intizami khamiyon ki nishandahi aur un ke izale, mulazimeen ki hazri yaqeeni banane aur awam ko behtar tibbi sahuliyat ki faraahmi ke liye apni zimmedariyan poori sanjeedagi aur peshawarana andaz mein anjam dein.

Mauzuaat: