رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 14° Saaf 22° / 9°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:13Maghrib 17:50Isha 19:11
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Sohail Afridi ka long march ‘short term march’ ban gaya, yeh dehshat gard tanzeemon ke haq mein hai: Uzma Bokhari

Sohail Afridi ka long march ‘short term march’ ban gaya, yeh dehshat gard tanzeemon ke haq mein hai: Uzma Bokhari

Lahore (Atemad Desk): Uzma Bokhari ne kaha hai ke wazir-e-aala Khyber Pakhtunkhwa Sohail Afridi ka long march “short term march” ban chuka hai jo na bani PTI ke haq mein hai na Pakhtun awam ke, balke dehshat gard tanzeemon ke haq mein ja raha hai.

Apne bayan mein unhon ne kaha ke Khyber Pakhtunkhwa mein ek taraf Dehshatgardi ho rahi hai aur doosri taraf Sohail Afridi container par charhe hain; poora suba ghair mehfooz hai magar sadkon par dandanata march mukammal mehfooz hai.

Uzma Bokhari ne kaha ke PTI ki senior qiyadat ko ek “container baz” ne yarghamal bana liya hai jo container par khade ho kar unhi forces ka mazaq udata aur dehshat gardon ke liye narm gosha rakhta hai, jabke security forces sooby ke awam ke tahaffuz ke liye janein qurban kar rahi hain.

Un ka kehna tha ke Khyber Pakhtunkhwa Dehshatgardi se sab se zyada mutassira suba hai aur is ki police aur awam ki qurbaniyan naqabil-e-faramosh hain. Un ke baqaul KP ke log khud mutalba kar rahe hain ke unhein PTI aur nalayaq tole se nijat dilai jaye, aur awam ke mustarad karne ke baad AI se Videos bana kar Social Media par dali ja rahi hain.