رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 14° Saaf 21° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Session judge Lahore ka bara faisla, judges ki zaati gariyon par green number plate aur blue light par pabandi

Session judge Lahore ka bara faisla, judges ki zaati gariyon par green number plate aur blue light par pabandi

District and Session Judge Tariq Khurshid Khawaja ki janib se jari muraasle mein kaha gaya hai ke monetization ke baad baaz gariyan sarkari gariyon ka tasur de rahi hain, jis ke baais adalati afsaran ki zaati gariyon ke istemal se mutaliq wazeh hidayat jari karna zaroori hain.

Muraasle ke mutabiq monetized gari har maqsad ke liye nijji aur zaati gari tasawwur hogi, is liye aisi gari ki zahiri shakal kisi bhi soorat mein sarkari gari ki nishandehi ya tasur nahin degi.

Ahkamat mein kaha gaya hai ke adalati afsaran apni zaati ya monetized gariyon par green registration number plate ya sarkari gari ki shanakht zahir karne wali plate istemal nahin kar sakenge. Gari par Lahore High Court ya Punjab District Judiciary ka monogram, logo, muhar, sticker ya badge lagane par bhi pabandi aid kar di gayi hai.

Muraasle mein mazeed wazeh kiya gaya hai ke judges aur adalati afsaran apni gariyon par sarkari nishan, jhanda ya aisi koi tehreer istemal nahin kar sakenge jis se gari ke sarkari hone ka tasur mile. Isi tarah gari par ohda ya judicial officer ki haisiyat zahir karne wali tehreer bhi lagane ki ijazat nahin hogi.

District and Session Judge Lahore ke ahkamat ke mutabiq monetized gari par blue light, beacon, ghoomne wali light ya flasher lagane par bhi pabandi hogi. Gari ke andar blue light ya emergency light rakhna bhi mamnu qarar diya gaya hai. Muraasle mein khabardar kiya gaya hai ke ahkamat ki khilaf warzi ki soorat mein muamle ko sanjeedgi se liya jaye ga.

Kisi adalati afsar ki janib se hukm ki khilaf warzi ka muamla mutaliqa authority ko report kiya jaye ga. District and Session Judge Lahore ki janib se jari muraasla Lahore ke tamam judicial afsaran ko bhijwa diya gaya hai, jis mein monetized aur zaati gariyon ke istemal ke hawale se pabandiyon par sakhti se amal daramad ki hidayat ki gayi hai.

Mauzuaat: