رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 19° Abr alood 22° / 9°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:13Maghrib 17:50Isha 19:11
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Sardarzada Mir Dinar Khan Domki ki Deputy Commissioner Kharan Munir Ahmed Soomro se mulaqat, behifazat bazyabi par mubarakbad

Sardarzada Mir Dinar Khan Domki ki Deputy Commissioner Kharan Munir Ahmed Soomro se mulaqat, behifazat bazyabi par mubarakbad
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Quetta: Maroof siyasi o qabaili shakhsiyat Sardarzada Mir Dinar Khan Domki ne Quetta mein Deputy Commissioner Kharan Munir Ahmed Soomro se mulaqat ki aur un ki behifazat bazyabi par dili mubarakbad pesh ki.

Mir Dinar Khan Domki ne Munir Ahmed Soomro ki khairiyat daryaft ki, un ki behifazat bazyabi par itminan ka izhar kiya aur un ke liye nek tamannaon aur mustaqbil mein salamti o kamyabi ki duaen keen. Mulaqat mein bahami dilchaspi ke umoor par bhi tabadla-e-khayal kiya gaya.

Is mauqe par Mir Moiz Bugti, staff officer Muhammad Hanif Chhatta aur Mir Nisar Rind bhi un ke hamrah the.

Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan

Mauzuaat: