Quetta: Sariab Road par kam wazan roti farokht karne wale tandooron ke khilaf crackdown, 11 afrad jail muntaqil

Quetta: Deputy Commissioner Quetta Mehrullah Badini ki hidayat par Assistant Commissioner (Sariab) ki zair-e-nigrani Sariab Road par kam wazan roti farokht karne wale tandooron ke khilaf crackdown kiya gaya.
Karrawai ke dauran kam wazan roti farokht karne walon ke khilaf sakht qanooni karrawai amal mein layi gayi, jis ke nateeje mein 11 afrad ko girftar kar ke jail muntaqil kar diya gaya.
Zila intezamiya ne wazeh kiya hai ke awami mufad ke pesh-e-nazar kam wazan roti farokht karne walon aur sarkari ehkamat ki khilaf warzi karne walon ke khilaf bila imtiaz karrawaiyan aainda bhi jari rahengi taake shehriyon ko muqarrara wazan aur miyar ke mutabiq roti ki faraahmi yaqeeni banayi ja sake.
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











