Quetta mein land record ki digitalization par ijlas, mutation ke amal aur pesh raft ka jaiza

Quetta: Chief Minister Balochistan ke ehkamat aur Deputy Commissioner Quetta ki hidayat par Additional Deputy Commissioner (Revenue) Quetta Hafiz Muhammad Tariq ki sadarat mein land record ki digitalization se mutaliq aik aham ijlas munaqid hua.
Ijlas mein tehsildar city, tehsildar sadar, digitalization system officers, GIS ke numainDon aur deegar mutaliqa afsaran ne shirkat ki.
Ijlas ke dauran digitalization system mein live hone wale mukhtalif mauzoat, bil-khusoos mutation ke amal par tafseeli ghaur kiya gaya. Tamam tehsildaron aur mutaliqa afsaran ne apni reports pesh keen aur nizam ko mazeed mowassar, shaffaf aur tez banane ke hawale se pesh raft ka jaiza liya gaya. Ijlas mein aainda ke lai’hae amal aur zaroori iqdamat par bhi ittefaq kiya gaya.
Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan











