رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 15° Abr alood 22° / 9°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:13Maghrib 17:50Isha 19:11
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Quetta mein land record digitalisation ka jaiza, ADC Revenue ki amal tez karne ki hidayat

Quetta mein land record digitalisation ka jaiza, ADC Revenue ki amal tez karne ki hidayat
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Quetta: Additional Deputy Commissioner (Revenue) Hafiz Muhammad Tariq ki zer-e-sadarat land record digitalisation ke hawale se jaiza ijlas munaqid hua, jis mein Tehsildar City, Tehsildar Saddar, Tehsildar Sariab, sub division Kuchlak ke numainDon aur deegar revenue amle ne shirkat ki.

Ijlas mein zila ke tamam sub divisions se digitalisation ki pesh-raft, darpesh masail aur maujooda soorat-e-haal par reports aur feedback hasil kiya gaya.

Additional Deputy Commissioner ne hidayat ki ke land record ki digitalisation muqarrara ahdaf ke mutabiq tez aur mouassir andaz mein mukammal ki jaye aur darpesh masail barwaqt hal kiye jayen.

Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Mauzuaat: