Nushki mein dehshat gardon ki insdad Polio team par firing, 2 police ahalkar shaheed

Security zaraye ke mutabiq Nushki ke ilaqe Killi Jamal Abad mein insdad Polio team ki security par tainaat police ahalkaron par firing ki gayi, shaheed police ahalkaron ki lashein Teaching Hospital Nushki muntaqil kar di gayin.
Dehshat gardon ki firing se hamle mein khawateen par mushtamil Polio team mehfooz rahi.
Police ke mutabiq hamla awar shaheed ahalkaron ka sarkari aslaha bhi sath le gaye aur firing ke baad farar ho gaye, police ne ilaqe ko ghere mein le kar mulzimaan ki talash shuru kar di jabke waqia ki mazeed tehqiqat jari hain.
Wafaqi wazir-e-dakhila Mohsin Naqvi ne insdad Polio team par firing ki purzor muzammat karte hue ahalkaron Muhammad Yasir aur Abdul Rauf ki shahadat par izhar-e-afsos kiya.
Mohsin Naqvi ne kaha ke bachon ka mustaqbil mehfooz banane wali team par hamla darinda sifat anasir ka ghinauna aur naqabil-e-maafi fail hai, hamla karne wale darinde ibratnak anjam ke mustahiq hain.
Balochistan hukumat ke moawin bara-e-dakhila Babar Yousafzai ne bataya ke insdad Polio team par hamla Balochistan ke bachon ke mustaqbil par hamla hai, Fitna al-Hindustan Balochistan ke aman aur Balochistan ke bachon ke mustaqbil ka dushman hai.
Babar Yousafzai ne kaha ke dehshat gard anasir nahin chahte ke Balochistan mein aman aaye, taraqqi ho aur bimariyon ka khatma ho, Fitna al-Hindustan nahin chahta ke Balochistan ke bachche Sehat mand aur mehfooz mustaqbil ki taraf barhein.
Nushki Balochistan ke darul hukumat Quetta se maghrib mein andaza 135 kilometre ke fasle par waqe hai.











