رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 14° Saaf 21° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

National Assembly mein Khyber Pakhtunkhwa emergency ki tauseeq ki qarardad pesh, wazir-e-azam bhi aiwan mein pohnche

National Assembly mein Khyber Pakhtunkhwa emergency ki tauseeq ki qarardad pesh, wazir-e-azam bhi aiwan mein pohnche

Islamabad (Atemad Desk): National Assembly mein Khyber Pakhtunkhwa mein emergency ki tauseeq ke liye qarardad pesh kar di gayi. Speaker Sardar Ayaz Sadiq ki zer-e-sadarat ijlas 45 minute ki takheer se shuru hua.

Ijlas ki karrawai ke dauran wazir-e-azam Shehbaz Sharif bhi aiwan mein pohnche, jahan unhon ne chairman Pakistan PPP Bilawal Bhutto Zardari aur qaid-e-hizb-e-ikhtilaf Mahmood Khan Achakzai se musafaha kiya.