Mulk mein naye soobon nahin, intizami units banane ki baat ho rahi hai: Khawaja Asif

Wafaqi daral-hukumat mein media se guftagu karte hue Khawaja Asif ka kehna tha ke Punjab mein naye soobe banaye jane par logon ko koi aitraz nahin, taham apne soobe mein naye soobe banne par aitraz kiya jata hai.
Unhon ne kaha ke intizami units ke qiyam ke mamle par party ne abhi koi baqaida ijlas karke mutafiqa raye ka izhar nahin kiya, party rehnamaon ki infiradi aara samne aa rahi hain.
Wazir-e-difa ka kehna tha ke woh kaafi arse se is mamle par kaam kar rahe hain ke 18vin tarmeem mein darj ikhtiyarat ki nichli satah tak muntaqili par amalderamad kiya jaye, ise mazeed mazboot banaya jaye aur ikhtiyarat zilai hukumaton ko muntaqil kiye ja saken.
Khawaja Asif ne kaha ke Houthiyon ki janib se Saudi Arabia par hamla Pakistan par hamla tasawur hoga, unhon ne Islamabad ke hawale se kaha ke wafaqi daral-hukumat ko wafaqi ilaqa banaya ja sakta hai kyunke kai mumalik mein wafaqi ilaqe maujood hain aur Washington bhi wafaqi ilaqa hai.
Un ka mazeed kehna tha ke Islamabad ko barah-e-rast wafaq ke zer-e-intizam wafaqi ilaqa rakha ja sakta hai aur mumkin hai ke mazeed ek ya do wafaqi ilaqe bhi banaye jayen.











