Koi fard-e-wahid ya siyasi jamaat naye intizami units rok nahin sakti: Mohsin Naqvi

Lahore mein qaumi policy dialogue se khitab karte hue wazir-e-dakhila Mohsin Naqvi ne kaha ke naukri par rahoon na rahoon, peechhe nahin hatoon ga, aaj se ek maah 5 din qabl ek baat ki, apne nizam ko reset karne ki baat ki, kuch logon ne meri guftagu ko mojooda hukumat aur kuch ne siyasi nizam se, mera ishara kisi makhsoos siyasi jamaat ki taraf nahin tha.
Wafaqi wazir-e-dakhila Mohsin Naqvi ne kaha ke koi company theek nahin chal rahi hoti to sab behtari ke liye mil kar baithte hain, hum 79 saal bhi result hasil nahin kar pa rahe to nizam ko reset karna zaroori hai, bunyadi zaruriyat har shehri ke paas hona zaroori hai.
Mohsin Naqvi ne kaha ke aaj paanchwin class ka bachcha aam jumle bhi nahin parh pata, reset ka matlab kisi bhi soorat nizam ko todna nahin, reset ka matlab ghalat cheez ko durust karna hai, intizami dhanche ki behtari ka kaam aaeen mein reh kar karna hai, hamein apne awam ki marzi se nizam ko behtar karna hai.
Unhon ne kaha ke awam intizami units ke haq mein hain to un ko har soorat banna chahiye, awam ki raye ka ehtram zaroori hai, meri darkhwast hai intizami units ka faisla awam par chhor dena chahiye.
Unhon ne mazeed kaha ke Pakistan duniya mein abadi ke lihaz se paanchwan bara mulk ban chuka hai, hamein nizam ko 79 saal baad restructure karna chahiye, hamein manna parhe ga ke reset ki zaroorat hai, hum tehsilein aur divisions banane ke liye tayyar hain, administrative units ki baat par kehte hain yeh nahin banne chahieyn.
Mohsin Naqvi ne kaha ke jab power nichli satah par muntaqil karne ki baat aati hai to sab aitraz karte hain, hum 79 saal mein dhai crore bachche aaj bhi school nahin bhej sake, aaj 55 feesad Pakistaniyon ko saaf pani nahin mil raha, aaj adalaton mein 20 lakh cases zer-e-iltawa hain, aaj bhi log adalaton mein dhakke kha rahe hain.
Unhon ne kaha ke aaj bhi walidain bachchon ki Sehat aur ilaj moalije ke liye muntazir nazar aate hain, naujawan aaj rozgar aur mawaqe ki baat karta hai, soba Islamabad ka sab se bara hami hoon, Islamabad ke shehriyon ko NFC ka ek rupya bhi nahin mil raha, CDA apni zameenein bech kar shehr ka nizam chala raha hai, kya Islamabad ke shehri Pakistan ke awam nahin hain?
Unhon ne kaha ke Islamabad soba ban raha hai to sab ko mil kar labbaik kehna chahiye, jo mayor ban kar aage aata hai woh behtar hukumat chala sakta hai, jo marzi kar lein ab Mamdani aur Sadiq Khan jaise aayenge, aaj kal naye administrative units ke baare mein bohat jazbati taqareer ho rahi hain, yeh aisi cheez nahin jo kal ya parson honi ja rahi hai.
Wazir-e-dakhila ne kaha ke is mein aap ki nahin awam ki raye zyada ahmiyat rakhti hai, meri darkhwast hai naye administrative units ki baat par jazbati na hon, agar awam ki marzi hai to administrative units banne dein, naye subon ke mamle par sab se bare stakeholders awam hain.
Mohsin Naqvi ne kaha ke naye subon ka faisla qaumi ittefaq-e-raye se hona chahiye, tamam siyasi jamaaton ko is masle par baithna hoga, hukumaton aur parliament ko baith kar mutalliqa fareeqain ko sunna chahiye, subon ki bahas zaban, nasl aur biradari ki bunyad par nahin honi chahiye, janubi ya shumali Punjab ke baad bhi main Punjabi hi rahoon ga, Sindhi bhi Sindhi rahe ga, behtar hukmarani ko awam ke qareeb lana hoga.











