Khyber Pakhtunkhwa hukumat ne long march ke zariye badamni ka mansooba bana liya: Khawaja Asif

Wazir-e-difa Khawaja Asif ne X par likha ke soobai hukumat ko qayadat ki mukammal himayat hasil hai, long march mein TTP ke unsur se taawun ka mansooba hai, 15 July 2024 ke Bannu waqiye ki tarz par badamni ki mansooba bandi ki ja rahi hai.
Khawaja Asif ne kaha ke Bannu waqiya mein TTP ke Gul Bahadur group ne cantt par khudkush hamla kiya, 8 fauji jawan shaheed hue, 19 July ke Bannu muzahire mein siyasi o qaum parast anasir bhi shamil hue.
Unhon ne kaha ke long march ke dauran fauji ya police tanseebat ke qareeb afratafri phailane ki mansooba bandi ki gayi hai, Tehreek-e-Insaf ki soobai hukumat aur long march muntazimin ke liye wazeh warning hai, 9 May jaisi kisi bhi pur tashaddud karwai ki koshish ko sakhti se roka jaye ga.
Khawaja Asif ne kaha hai ke siyasi jaddojehad aur musallah baghawat mein wazeh farq hai, siyasi jaddojehad ke parde mein TTP ke sath mil kar musallah baghawat mulk ki salamti par hamla tasawwur hogi, riyasat ke difa ke liye tamam wasail istemal kiye jayenge.











