Jamaat-e-Islami ka 3 September ko mulk geer hartal ka elan

Ameer Jamaat-e-Islami Hafiz Naeem ur Rehman ne kaha ke log petroleum masnuaat ki qeematein kam karwane ke liye sarkon par nikle hain. Unhon ne kaha ke hartal mukammal taur par pur aman hogi, gamla bhi nahin tootega.
Hafiz Naeem ur Rehman ka kehna tha ke nojawan jante hain ke hartal kaise ki jati hai. Jamaat-e-Islami tajiron ke paas jaye gi aur unhein hartal mein shirkat ke liye qail karegi.
Unhon ne tajiron se appeal ki ke woh hukumati chamchon aur chaplooson ki baat na sunein. Hafiz Naeem ur Rehman ne kaha ke woh khud Lahore mein tajiron se mulaqatein karenge.
Ameer Jamaat-e-Islami ne bijli ke bhaari bilon par tanqeed karte hue kaha ke bijli ke bill awam par bum ban kar girte hain.











