رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 19° Abr alood 22° / 9°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:13Maghrib 17:50Isha 19:11
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid
Safha-e-Awwal› Balochistan ›Jafarabad

Jafarabad: DC Khalid Khan ki zere sadarat Chehlum Imam Hussain (RA) ke security intizamat par intelligence committee ka ijlas

Jafarabad: DC Khalid Khan ki zere sadarat Chehlum Imam Hussain (RA) ke security intizamat par intelligence committee ka ijlas
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Jafarabad: Deputy Commissioner Jafarabad Khalid Khan ki zere sadarat District Intelligence Coordination Committee ka aham ijlas munaqid hua, jis mein Additional Deputy Commissioner Jafarabad Huzoor Bakhsh Bugti samet qanoon nafiz karne wale idaron ke afsaran aur mehkama Sehat o digar mehkamon ke afsaran o numainda gan ne shirkat ki.

Ijlas mein Hazrat Imam Hussain (RA) ke Chehlum ke mauqe par Aman o Aman ki mujmui surat-e-haal, security plan aur digar intizamat ka tafseeli jaiza liya gaya.

Deputy Commissioner Khalid Khan ne mutalliqa idaron ko hidayat ki ke Chehlum ke mauqe par julusoon aur majalis ki foolproof security yaqeeni banai jaye, hassas maqamat par moassir nigrani, dakhli o kharji raston ki kadi checking aur traffic ki behtar rawani ko yaqeeni banaya jaye, aur tamam mutalliqa mehkamon ke darmiyan moassir rabta barqarar rakha jaye taake azadaran ko pur-aman aur mehfooz mahaul faraham kiya ja sake.

Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan