Ishaq Dar ki zer-e-sadarat kifayat shiari committee ka ijlas, wizartoon ko faislon par mukammal amalderamad ki hidayat

Islamabad (Atemad Desk): Naib wazir-e-azam Ishaq Dar ki zer-e-sadarat kifayat shiari iqdamat par amalderamad committee ka ijlas hua, jis mein bachat aur kifayat shiari ke iqdamat par pesh raft ka jaiza liya gaya aur wizartoon ko mutalliqa faislon par mukammal amalderamad ki hidayat ki gayi.
Naib wazir-e-azam ne hukumati akhrajat mein maali nazm-o-zabt barqarar rakhne par zor dete hue kaha ke qaumi wasail ka mohtat aur danishmandana istemal yaqeeni banaya jaye.
Ijlas mein wazir IT, cabinet secretary, secretary kharija aur deegar aala hukkam shareek hue, jinhein committee ke faislon par apni apni wizartoon aur idaron mein amalderamad ki hidayat ki gayi.
Mauzuaat:Ishaq Dar











