رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 21° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Ishaq Dar ki London mein Pakistan nizhad British arkan-e-parliament se mulaqat

Ishaq Dar ki London mein Pakistan nizhad British arkan-e-parliament se mulaqat

Tarjuman ke mutabiq Ishaq Dar ne Pak-Britain taluqat ko mazeed mazboot banane mein British arkan-e-parliament ke aham kirdar ko saraha, jabke Kashmir ke munsifana hal ke liye un ki bharpoor himayat ki bhi qadr ki.

Mulaqat ke dauran British arkan-e-parliament ne mashriq-e-wusta mein Pakistan ki qiyadat aur salisi ki koshishon ko saraha.

Naib wazir-e-azam Ishaq Dar ne unhein khitte mein kashidagi kam karne aur paedar aman ke qiyam ke liye Pakistan ki jari safarti koshishon se aagah karte hue kaha ke aman o istehkam ke liye tamam fareeqain ki jaanib se Islamabad MoU par muassir amal dar aamad zaroori hai.

Unhon ne Makkah mushtarka difai muahide ki ahmiyat ko bhi ujagar karte hue wazeh kiya ke yeh muahida mukammal tor par difai nauiyat ka hai.

Tarjuman ke mutabiq mulaqat ke dauran British arkan-e-parliament ne haliya qanoon saz assembly intikhabat mein Pakistan Muslim League (N) ki kamyabi par Ishaq Dar ko mubarakbad bhi pesh ki.