رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 17° Saaf 22° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Inam Butt ke doping test musbat aane ki tafseelat samne aa gayin

Inam Butt ke doping test musbat aane ki tafseelat samne aa gayin

Zaraye ke mutabiq Inam Butt ne beenai ki dawa istemal ki aur Asian Beach Games mein test se pehle nahin bataya gaya.

Zaraye ne bataya ke Inam Butt ka doping test musbat aaya, May mein un ko notice jari kiya gaya, aankhon ke tamam test, scan aur dawaiyon ki fehrist Inam Butt ne jama karayi, beenai ki dawai, test aur scan ke baad Inam Butt ki beemari ko tasleem kiya gaya.

Zaraye ka kehna hai ke Inam Butt ka ITA ne baad mein dobara test liya, case ka jaiza liya, ITA ko adviyat ki tamam fehrist bhi faraham ki gayi, khilari ko adviyat istemal karne ki ijazat bhi di gayi hai.

Zaraye ke mutabiq doping test mein mamnua dawai ki bohat kam miqdar samne aayi thi aur samne aane wali dawai quwwat bakhsh nahin thi jo ilaj ke liye thi, test se pehle na batane ki wajah se Inam Butt ke khilaf karrawai ka imkan hai.

Zaraye ke mutabiq mutaliqa authorities ke sath Inam Butt ki khat-o-kitabat jari hai, Inam Butt B sample ke liye nahin jayenge tahum zaroorat parne par mamle ko khelon ki salisi adalat mein le ja sakte hain.

Mauzuaat: