رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 15° Saaf 21° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Imran Khan ki shamooliyat ke baghair naye subon ka tasawur nahin banta: Asad Umar

Imran Khan ki shamooliyat ke baghair naye subon ka tasawur nahin banta: Asad Umar

Lahore mein media se guftagu karte hue Asad Umar ne kaha ke tamam assemblies mein soobe banane ke hawale se guftagu honi chahiye aur soobe banane mein bani PTI ko bhi saath rakhna chahiye, bani ki shamooliyat ke baghair naye subon ka tasawur nahin banta.

Unhon ne kaha ke agar insaf ka nizam sahih hota to bani ko jald relief mil jata, hukumat ne PTI ko deewar ke saath laga diya hai.

Asad Umar ka kehna tha ke Punjab hukumat ne kisanon ke saath achha nahin kiya, isay istifa dena chahiye, Punjab hukumat kisanon se mafi mange.

Qabl azin sabiq wafaqi wazir Asad Umar aboori zamanat ki miyaad khatam hone par intisdad-e-Dehshatgardi adalat Lahore mein pesh hue.