رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 21° Saaf 22° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

ICC ki anti-doping team ne Islamabad ke Serena Hotel mein England khilariyon ke sample le liye

ICC ki anti-doping team ne Islamabad ke Serena Hotel mein England khilariyon ke sample le liye
File photo: Serena Hotel Islamabad — Tasveer: Bashukriya serenahotels.com

Islamabad: International Cricket Council (ICC) ki paanch rukni anti-doping team ne Serena Hotel ka daura kiya, jahan England Cricket team ke khilariyon ke sample hasil karke dope test kiye gaye.

Zarai ke mutabiq anti-doping team ne 18 October ko sehpahar 3 baje se sarhe 4 baje tak test ka amal mukammal kiya. Is dauran England team ke khilariyon ke sample liye gaye.

Zarai ka kehna hai ke team mein Dr Awais, Dr Ali Yousuf, Dr Naeem Ahmed, Dr Umar Masood aur Dr Hina shamil thin. Team ne muqarrara waqt ke dauran Serena Hotel mein khilariyon ke dope test kiye.

Mauzuaat: