Governor Jaffar Khan Mandokhail ki Quetta Chamber of Commerce ke salana ijlas ki sadarat, Ahmed Gul Kakar ko mubarakbad

Quetta: Governor Balochistan Jaffar Khan Mandokhail ne Quetta Chamber of Commerce and Industry ke salana general ijlas ki sadarat ki.
Chamber pahunchne par bachchiyon ne Governor ko guldasta pesh kiya. Governor ne Chamber ke nau muntakhib sadr Ahmed Gul Kakar ko mubarakbad di aur nau muntakhib sadr aur ohdedaran ke sath group photo banwaya.



Tasweer: Bashukriya DGPR Balochistan











