Chief Minister Sarfraz Bugti ki Mir Abdul Quddus Bizenjo se un ke chacha aur mamun ke inteqal par taziyat

Islamabad: Chief Minister Balochistan Mir Sarfraz Bugti ne Senator Anwaar ul Haq Kakar, Agha Shakeel Ahmed Durrani aur deegar ke hamrah sabiq Chief Minister Balochistan aur rukn-e-aiwan-e-bala Mir Abdul Quddus Bizenjo se un ke chacha Mir Abdullah Jan Bizenjo aur mamun Mir Allah Dad Bizenjo ke inteqal par taziyat aur fatiha khwani ki.
Chief Minister Mir Sarfraz Bugti ne marhoomeen ke darajat ki bulandi aur maghfirat aur sogwar khandan ke liye sabr-e-jameel ki dua ki.
Is mauqe par Chief Minister ne kaha ke gham ki is ghari mein woh Mir Abdul Quddus Bizenjo aur un ke ahl-e-khana ke dukh mein barabar ke shareek hain. Allah Taala marhoomeen ko apni jawar-e-rehmat mein jagah ata farmaye aur pasmandgan ko yeh sadma bardasht karne ki toufeeq de.
Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan











