Bilawal Bhutto Zardari se Faisal Mumtaz Rathore, Khurram Dastgir aur PPP rehnamaon ki mulaqatein

Islamabad: Pakistan PPP ke chairman Bilawal Bhutto Zardari se Azad Jammu o Kashmir ke sabiq wazir-e-azam aur qanoon saz assembly ke rukn Faisal Mumtaz Rathore ne Zardari House mein mulaqat ki, jis mein Azad Jammu o Kashmir ki siyasi soorat-e-haal par tabadla-e-khayal kiya gaya.
PML-N ke rehnuma engineer Khurram Dastgir Khan ne bhi Bilawal Bhutto Zardari se Zardari House mein mulaqat ki, jis mein mulki siyasi soorat-e-haal par baat cheet hui.
PPP Khyber Pakhtunkhwa ke rehnuma Arbab Alamgir Khan aur Khyber Pakhtunkhwa assembly ke rukn Arbab Zarak Khan ne bhi chairman PPP se mulaqat ki. Is mein Khyber Pakhtunkhwa, bil-khusus Peshawar ki siyasi soorat-e-haal par guftagu hui.
National Assembly ke rukn Abdul Qadir Gilani ne mulaqat mein Bilawal Bhutto Zardari ko Multan ke awam ke masail aur un ke hal se mutalliq iqdamat par briefing di.











