Bharat kamzor tareen harif Japan ke khilaf T20 match mein shikast se baal baal bach gaya

Sano International Cricket Ground mein barish se mutasir match ko 5 overs tak mehdood kar diya gaya tha, jis mein Bharati captain Shreyas Iyer ne toss jeet kar pehle batting karne ko tarjeeh di.
Japan ne shandar bowling karte hue Bharati team ke 4 khilari out kiye aur unhein 32 runs tak mehdood rakha.
Hadaf ke taaqub mein Japani team ne aakhri gend tak jaan maari aur 3 wicketon ke nuqsan par 30 runs banate hue sirf 2 runs se shikast uthani padi.











