رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 12° Saaf 22° / 11°Fajr 05:22Zuhr 12:16Asr 16:11Maghrib 17:48Isha 19:09
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid
Safha-e-Awwal› Balochistan ›Dera Bugti

Shumali Dera Bugti: Chief Minister Sarfraz Bugti ka naye sarkari daftar ka iftetah, tarqiyati mansoobon ka jaiza

Shumali Dera Bugti: Chief Minister Sarfraz Bugti ka naye sarkari daftar ka iftetah, tarqiyati mansoobon ka jaiza
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Shumali Dera Bugti: Chief Minister Balochistan Mir Sarfraz Bugti ne zila Shumali Dera Bugti mein mukhtalif tarqiyati mansoobon ka daura kiya aur un par jari kaam ka jaiza liya. Is moqe par unhon ne naye zile mein nau tameer shuda mukhtalif sarkari daftar ka iftetah bhi kiya.

Chief Minister ne kaha ke naye zile mein sarkari daftar ka qiyam awam ko un ki dehleez par buniyadi sarkari sahuliyat faraham karne aur intizami umoor tak rasai aasan banane ki jaanib aham pesh raft hai. Naye Azla mein sarkari idaron ko faal banana aur intizami nizam ko moassir banana hukumat ki tarjihat mein shamil hai taake shehriyon ko apne masail ke hal ke liye door daraz ilaqon ka safar na karna pare.

Afsaran ko hidayat

Chief Minister Mir Sarfraz Bugti ne sarkari afsaran ko hidayat ki ke woh awami khidmat ko apna farz samjhein, daftar mein open door policy par amal daramad yaqeeni banayein aur muqarrara waqt par apni hazri yaqeeni banate hue shehriyon ke masail ke hal ko tarjih dein.

Unhon ne kaha ke awam ko sarkari daftar mein apne jaiz masail ke hal ke liye ghair zaroori intizar aur mushkilat ka samna nahin hona chahiye. Sarkari machinery ka buniyadi maqsad awam ko sahuliyat faraham karna aur un ke masail ka barwaqt hal yaqeeni banana hai, is liye afsaran ki karkardagi ko awam ko faraham ki jane wali sahuliyat, un ke rawaiye aur masail ke hal mein sanjeedgi ki bunyad par jancha jana chahiye.

Mir Sarfraz Bugti ne kaha ke naye Azla mein intizami dhanche ko moassir banana aur sarkari idaron ki fa’aliyat yaqeeni banana waqt ki aham zaroorat hai. Is maqsad ke liye tamam mutalliqa mehkamon ko apni zimmedariyan moassir andaz mein ada karna hongi taake awam ko buniyadi sahuliyat ki faraahmi mein hael rukawatein door ki ja sakein aur intizami umoor mein behtri layi ja sake.

Dams aur tameeraati miyar

Tarqiyati mansoobon ke jaize ke dauran Chief Minister ne pani ke zakhaer aur dams ki tameer ki ahmiyat par zor dete hue kaha ke Balochistan mein pani ki qillat ke tanazur mein abi zakhaer ki tameer nagzeer hai, taham in mansoobon ke tameeraati miyar par kisi soorat samjhauta nahin kiya ja sakta.

Unhon ne hidayat ki ke dams samet tamam tarqiyati mansoobon mein muqarrara miyar aur taknikki taqazon par sakhti se amal daramad yaqeeni banaya jaye taake yeh mansoobe derpa, moassir aur awam ke liye haqiqi maanon mein mufeed sabit hon. Chief Minister ne wazeh kiya ke tarqiyati mansoobon mein naqis tameeraati kaam kisi soorat qabil-e-qubool nahin hoga aur mutalliqa hukkam mansoobon ki moassir nigrani, shaffafiyat aur barwaqt takmeel ko yaqeeni banayein.

Unhon ne kaha ke awami wasail qaumi amanat hain aur un ka durust istemal hukumat ki buniyadi zimmedari hai. Tarqiyati mansoobon ki takmeel mein takheer ya miyar mein kotahi awami mufad ko mutasir karti hai, is liye mutalliqa afsaran apni zimmedariyan poori diyanatdari aur jawabdehi ke sath ada karein.

Chief Minister Balochistan ne azm ka izhar kiya ke Shumali Dera Bugti samet soobe ke tamam ilaqon mein buniyadi sahuliyat ki faraahmi, intizami nizam ki behtri aur tarqiyati amal ko aage barhane ke liye iqdamat jari rahenge. Unhon ne mutalliqa hukkam ko hidayat ki ke tarqiyati mansoobon ki nigrani moassir banai jaye aur har intizami o tarqiyati faisle mein awami mufad ko muqaddam rakha jaye taake hukumati iqdamat ke samrat barah-e-raast shehriyon tak pahunch saken.

Shumali Dera Bugti. Chief Minister Balochistan Mir Sarfraz Bugti naye intizami daftar ke iftetah ke baad dua kar rahe hain.
Shumali Dera Bugti. Chief Minister Balochistan Mir Sarfraz Bugti naye intizami daftar ke iftetah ke baad dua kar rahe hain.

Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan