Islamabad: Bilal Khan Kakar ki chini karobari numainde se mulaqat, maadani taawun par zor

Islamabad: Balochistan Board of Investment ke vice chairman Bilal Khan Kakar ne kaha hai ke China ke sath Pakistan ki derina dosti aur iqtisadi taawun Balochistan ke liye taraqqi ke naye imkanat paida kar sakta hai. CPEC aur maadani projects mein chini sharakat daari soobe ke qudrati wasail ko maashi taraqqi mein tabdeel karne, sanati sargarmiyon ko wusat dene aur nojawanon ke liye rozgar ke mawaqe paida karne mein aham kirdar ada kar sakti hai.
In khayalat ka izhar unhon ne Islamabad mein chini karobari numainde Mr Du Jun Ji se mulaqat ke dauran kiya. Mulaqat mein Balochistan Board of Investment ke chief executive officer Abdul Mannan bhi mojood the.
Is mauqe par Balochistan ke maadani shobe mein sarmaya kari, wasail ki talash o taraqqi aur hukumat-e-Balochistan ke sath chini sarmaya karon ke ishtirak-e-amal ke imkanat par tabadla-e-khayal kiya gaya.
Taawun ko amali shakl dene par zor
Bilal Khan Kakar ne kaha ke China ne Pakistan ke sath iqtisadi taawun ke mukhtalif shobon mein aham kirdar ada kiya hai aur CPEC ne Balochistan ki jughrafiyai ahmiyat aur maashi imkanat ko mazeed ujagar kiya hai. Ab zarurat is baat ki hai ke is taawun ko maadani wasail ki taraqqi, sanati sarmaya kari aur muqami maeeshat ke istehkam ke liye mazeed muassir andaz mein aage barhaya jaye.
Vice chairman Balochistan Board of Investment ne chini taawun ko sarahte hue kaha ke Pakistan aur China ke talluqat mehaz safarati rawabit tak mehdood nahin balke iqtisadi taawun aur mushtarka taraqqi ke wasee imkanat bhi rakhte hain. Balochistan mein maadani shobe ke andar chini sarmaya karon ki dilchaspi is amr ka mauqa faraham karti hai ke bahmi taawun ko amali projects mein tabdeel kiya jaye aur soobe ki maashi salahiyat se bharpoor faida uthaya jaye.
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











