Rajab Butt ne phir sabiq ahliya Iman Asad ko hatak-e-izzat ka qanooni notice bhijwa diya

Rajab Butt ek baar phir sabiq ahliya Iman Asad ke hawale se khabron ki zad mein hain, un ke YouTube par 9 million, Instagram par 3 million jabke TikTok par taqriban 1 million followers hain.
Iman Asad ke wakeel ne inkishaf kiya hai ke Rajab Butt ne ek baar phir apni sabiq ahliya ko hatak-e-izzat ka qanooni notice bhijwaya hai.
Wakeel ne bataya hai ke qanooni notice mein Rajab Butt ne ilzam aid kiya hai ke Iman Asad ki janib se Rajab Butt ko badnam karne ke liye comments, reels aur Videos banai aur share ki ja rahi hain.
Rajab Butt ne salgirah par mubayyina tor par sabiq ahliya ko hatak-e-izzat aur bete ki custody ka notice bhijwa diya.
Wakeel ka kehna hai ke notice ke sath ilzamat ka koi saboot faraham nahin kiya gaya, jis ke baad hamari janib se qanooni notice ka jawab jama kara diya gaya hai aur ilzamat ke saboot mangay gaye hain taake mamle ko samajhne aur ilzamat ka jaiza lene mein madad mil sake.
Iman Asad ke wakeel ne yeh bhi kaha hai ke bazahir yeh notice meri muakkila ko harasan karne ki koshish hai.











