Quetta: Soobai mohtasib Saadatullah Khan Bazai ki sadarat mein muqadmat ka jaiza ijlas

Quetta: 23 October ko soobai mohtasib Balochistan Saadatullah Khan Bazai ki zer-e-sadarat soobai mohtasib secretariat ke markazi daftar mein directors investigation, deputy directors aur registrar ka aham ijlas munaqid hua.
Ijlas mein zer-e-samaat aur zer-e-iltawa shikayat o muqadmat par hone wali pesh raft ka tafseeli jaiza liya gaya. Mutaliqa afsaran ne zer-e-karrawai muqadmat, un ki maujooda soorat-e-haal aur tehqiqat mein hone wali pesh raft ke baare mein soobai mohtasib ko jaame briefing di.
Soobai mohtasib ne afsaran se muqadmat ki moasir pairwi, shikayat ke barwaqt izaale aur daftari umoor mein mazeed behtari ke liye tajaweez aur aara talab keen.
Soobai mohtasib Balochistan ne zor diya ke awami shikayat ko qanoon aur merit ke mutabiq nimtaya jaye, shaffafiyat ko yaqeeni banaya jaye aur sailin ko barwaqt insaf faraham kiya jaye. Unhon ne kaha ke tamam mutaliqa afsaran mustaidi aur peshawaranah andaz mein apni zimmedariyan ada karen.
Ijlas mein idaray ki majmooi karkardagi ko mazeed moasir banane par bhi tabadla-e-khayal kiya gaya.











