Qila Abdullah: Assistant Commissioner Sardar Abdullah Khan ki zer-e-sadarat mahkama maal ke umoor ka jaiza

Qila Abdullah: Assistant Commissioner Sardar Abdullah Khan ki zer-e-sadarat mahkama maal se mutaliq umoor ka jaiza lene ke liye ek aham ijlas munaqid hua. Ijlas mein tehsildar Haji Muhammad Anwar, qanungo Wali Khan Kakar, patwari Naqeebullah Agha samet mahkama maal ke deegar mutaliqa ahalkaron ne shirkat ki.
Ijlas ke dauran mahkama maal se mutaliq mukhtalif umoor ka tafseeli jaiza liya gaya, jabke revenue mamlaat mein behtari, sarkari umoor ki moasir anjam dehi aur mutaliqa mamlaat ko murawwaja qawaid o zawabit ke mutabiq nimtane ke hawale se tabadla-e-khayal kiya gaya.
Is moqe par Assistant Commissioner Sardar Abdullah Khan ne revenue umoor ki behtari, intizami mamlaat mein shaffafiyat aur awam ko behtar sahuliyat ki faraahmi ke liye mutaliqa ahalkaron ke darmiyan moasir rabita kaari aur baahmi taawun ki ahmiyat par zor diya.
Ijlas mein is azm ka aada kiya gaya ke mahkama maal se mutaliq umoor ko moasir, munazzam aur qawaid o zawabit ke mutabiq aage barhane ke liye murabbat hikmat-e-amli apnayi jayegi, taake awam ko darpesh masail ke hal aur sarkari umoor ki barwaqt anjam dehi ko yaqeeni banaya ja sake.
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











